Hum Nahin Kehte Hama ….

Hum Nahin Kehte Hamari


Hum Nahin Kehte Hamari, Teri Duniya Ho Jaye;

Itne Rangon Mein Koi Rang Toh Apna Ho Jaye;


Ishq Woh Turfa-Balaa Hai Ke Kare Jis Ki Talb;

Us Ko Maloom Na Ho, Sheher Mein Charcha Ho Jaye;


Do Sitaron Ko Jo Dekhoon Teri Ankhein Ban Jayein;

Chand Ko Dheyan Mein Laaon Tera Chehra Ho Jaye;


Har Dora Hai Yeh Nigehbaan Khari Hai Kismat;

Kaise Mumkin Hai Ke Har Shasks Ka Socha, Ho Jaye;


Hum Ko Har Bazm Mein, Har Haal Mein Sach Kehna Hai;

Sheher Ka Sheher Khafaa Hota Hai, Acha Ho Jaye;


Ishq Woh Kaar-e-Musalsal Hai Nahin Jis Ki Akheer;

Us Ki Taufiq Hai Jis Shakhs Se Jitna Ho Jaye;


Husn Ki Ankh Woh Tahsees Talb Hai Amjad;

Bheed Ho Charon Taraf Aur Koi Tanha Ho Jaye!



Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.