Koi Naa Jaan Saka ….

Koi Naa Jaan Saka



Koi Naa Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha;

Aur Us Ne Dhoop Se Baadal Ko Kyon Milaya Tha;



Yeh Baat Shayad Logon Ko Pasand Aayi Nahin;

Makaa’n Chota Tha Lekin Bohat Sajaya Tha;



Woh Ab Wahan Hai Jahan Raste Nahin Jate;

Main Jis Ke Sath Yahan Pichle Saal Aya Tha;



Suna Hai Us Pe Chehekne Lage Hain Parindey Bhi;

Woh Aik Pau’daa Jo Hum Ne Kabhi Lagaya Tha;



Chiragh Doob Gaye Kapkapaye Honton Par;

Kisi Ka Hath Hamare Labo’n Tak Aya Tha;



Badan Ko Chorr Ke Jana Hai Aasman Ki Taraf;

Samundro’n Ne Humein Yeh Sabaq Parhaya Tha;



Tamam Umar Mera Dam Isi Dhuyein Mein Ghutta;

Woh Ik Chiragh Thaa Maine Usey Bhujaya Tha!



Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.