Teri Zulfon Ke Bikha ….
Teri Zulfon Ke Bikharnay
Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi;
Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi;
Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se;
Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi;
Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain;
Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi;
Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa;
Ajnabi Mein Hee Nahi Tu Bhee Ajab Hai Koi;
Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain ‘Nasir’;
Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi!