Zindagi Mein To Sabh ….

Zindagi Mein To Sabhi



Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte Hain;

Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga;



Tu Mila Hai To Ye Ehsaas Huaa Hai Mujhko;

Ye Meri Umar Mohabbat Ke Liye Thhodi Hai;



Ek Zara Sa Ghum-E-Dauraan Ka Bhi Haq Hai Jis Par;

Maine Wo Saans Bhi Tere Liye Rakh Chhodi Hai;



Tujh Pe Ho Jaaoonga Qurban Tujhe Chahoonga;

Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga;



Apne Jazbaat Mein Naghmaat Rachaane Ke Liye;

Maine Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaaya Hai Tujhe;



Main Tasavvur Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon;

Maine Kismat Ki Lakeeron Se Churaaya Hai Tujhe;



Pyar Ka Banke Nigehbaan Tujhe Chaahoonga;

Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga;



Teri Har Chaap Se Jalte Hain Khayaalon Mein Chiraag;

Jab Bhi Tu Aaye Jagaata Huaa Jaadu Aaye;



Tujhko Chhulun To Aye Jaan-E-Tamanna Mujhko;

Dair Tak Apne Badan Se Teri Khushboo Aaye;



Tu Bahaaron Ka Hai Unwaan Tujhe Chaahoonga;

Main To Marrkar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaaoounga!


Translation:


Gham-e-dauraan: Period of sorrow

Naghmaat: Melody

Tasavvur: Contemplation

Nigaahbaan: Guard, Janitor

Jaan-e-Tamanna: Hearts desire

Unwaan: Form, Headline, Label, Legend



Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.